Laptop ya Computer me internet se free call kaise kare

Waise agar apko Computer ya laptop se kisi phone par free call karna hai to Yahoo, Google talk, FB messengers etc. se kar sakte hai. Lekin iske liye samne wale user ke pas bhi ye application hona jaruri hai.

Lekin agar apko mobile number par call karna ho jiske liye samne user ke pas kounsa phone hai ya koi application hai ya nahi is par koi fark nahi ladta hai, to chaliye jante hai kaise computer ya laptop se internet ka use karte hue kisi bhi phone number par puri duniya me kahi bhi call kaise karete hai.



Laptop ya computer me free call kaise kare
Internet par kahi aisi website hai jo free call service provide karti hai, jaha par jakar bina koi account create kiye direct apne friends ko call kar sakte hai, lekin me is post me kewal best quality website hi batane wala hu.

1> call2friends.com

Is website se aap puri duniay me kisi bhi jagah par aap apne friends ko with best voice quality me call se bat kar sakte hai, wo bhi ekdam muft/free me.

call2friends.com par jate hi apke samne ek dial number show hoge, jisko call karna hai uske number dal kar country select karke green call button par click kare, aur apne browser se microphone request accpet kare. Phir call lag jaega.

2> freecall app

Yah ek application hai, jo laptop aur computer me download ho sakti hai, isko apne pc me install karke 50 jagah par free call kar sakte hai, isme apko 1 week m 300 minutes milti hai lekin jitne minutes bat nahi ki wo minutes next week me forward nahi hoga, is pc app ko iski website me jakar download kar sakte hai, aur apne computer ya laptop se mobile ko free call kar sakte hai.

3> globe7 app

Globe 7 aisi application hai jaha se kewal computer ya laptop se mobile ko free call hi nahi baki games, videos, news, free sms, upload and share files etc aur bhi kuch paa sakte hai jiske apka complete entertainment hoga.

To ye thi computer aur laptop ke liye sites and application jaha se mobile ko free call kar sakte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ