Photoshop me photo kaise edit kare?


Yaha me apko bataunga Photoshop kaise sikhe (How to learn Photoshop in Hindi), photo kaise banaye aur kaise edit kare etc. apko is post me practically screenshot me se karke batauga.




Computer me jab bhi photo edit karne ki baat aati hai, sabke muh par ek hi naam sabse pahle aata hai wo hai Photoshop.

Adobe comapny ka Photoshop sabse popular product me se ek hai. Adobe company ne wakai me photo, video and audio etc. (media) edit karne ke liye kafi behtarin software computer world me rakhe hai.

Photoshop ko sikhna bhi kafi aasaan hai, adobe Photoshop ke sath me adobe ka har software use karne me kafi aasaan hai.

Waise almost Photoshop wedding and photography editing ke liye bana hai, agar apko graphic and vector designing karni hai to uske liye adobe company ne ke aur software market me rakha hai jiska name hai Adobe Illustrator.

Lekin Photoshop me bhi icons, logos, banner etc. design hote hai aur yaha tak ki me bhi logos and icon Photoshop se hi design karta hu, Adobe Illustrator advance vector designing ke liye hai.

Chaliye out of topic na jaate hue me apko Photoshop me photo edit kaise karte hai wo bata deta hu bina apko bor kare.

Photoshop kaise sikhe hindi me

Agar apke pas me koi bhi version ka photoshop ho to chalega, me apko is post me basic of Photoshop batane wala hu. Aur basic tools and function har Photoshop ke version me same hai.

Main Photoshop CC use karta hu, aur aap ko Photoshop CC ke screenshot se hi batauga.

Photoshop New Layer


Sabse pahle apne computer/laptop me Photoshop open kare, then Ctrl+N press karke ya phir left-corner me File>New me jakar new layer open kare.

Phir ek dialogue box open hoga, jisme aap ko apne blank sheet ki height and width submit karni hoti hai, to aap 600 pixel width and 300 pixel height le sakte hai.



Uske baadme apke samne ek blank white background sheet show hogi, jis par koi bhi learning ke liye tool pratice kar sakte hai.

Advance: Apko starting me aise blank sheet par hi tool ki practice karni chahiye, then photo ko edit karna chahiye.



Text On Photo


Text tool ko 'T' key press karke bhi select kar sakte hai ya phir tool option me  icon par click karke select kar sakte hai.




Then blank sheet par click karke likhna start kar sakte hai, text editing ke wakt Ctrl+T key press karke character format edit kar sakte hai.

Jisme font ko bada chota, bich me gap, font ki height and width, color, style etc. sab aa jata hai.




Photo solid color layer


Ctrl+N press karke aap new layer create kar sakte hai, par wo by default white background ki hoti hai. Waise to layer lete wakt hi color ko set kar sakte hai. Lekin me apko ek aur option batane ja raha hu.

Right side me ek layer ka widget hota, jisme adjustment layer icon par click kare.


Phir solid color option ko select kare, tab apke samne ek color choose karne ke dialogue box show hoga usme apna koi bhi color select kar sakte hai.

Photoshop open


Photoshop me new layer ko open karne ke bad me jante hai open option ko. Iske liye Ctrl+O press kare ya phir File>Open me me jaye phir apko ek image apne hard drive se select karni hogi, jise edit karni hai.

Selection tool


Selection tool ko shortcut key M press karke select kar sakte hai ya phir left-side option se select kar sakte hai.




Is selection tool se select karke kewal particular part ko edit kar sakte hai.

Chaliye ek practically iska use dekhte hai.

Sabse pahle Rectangular marquee tool select kare, jise shortcut key M se bhi le satke hai.

Then Ctrl+A press karke puri pic ko select kare, then Ctrl+C press karke copy kare, aur Ctrl+V press karke usi layer par paste kar de, aisa karke same image ek ke upar ek aa jaegi.

Jisme apko upar wali image ko choti karni hai to Ctrl+T press kare (Yad rakhe Rectangular marquee tool select kiya hua hona chahiye) phir uski size ko mouse arrow se kam kar de.




Polygonal lasso tool


Hamne abhi Rectangular marquee tool ka use dekha, jisme kewal Rectangular select kar satke hai. Lekin tab kya karege jab apko apna face select karke use bright karna hoga?

Uske liye Polygonal lasso tool hai, ise lekar aap bariki se selection kar sakte hai jaise maine skateboard ki photo me kewal tire select kiya hai.



Iske sath me brush tool ka use kar sakte hai, is tool ko shortcut key B se select kar sakte hai.





Iske alwa kuch tool aise hai jise explain karne ki bhi koi jarurat nahi hai unke name se unka kya use hai wo pata lag jata hai jaise crop tool, Zoom tool etc.

Iske alwa kuch advance tool bhi hai jiske bare me agle post me sikhenge.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ