Jio ne launch Kiya ek aisa wifi device jo aapke internet speed ko bahut zada badha dega
Aj ke tarikh pe India ka no.1 Telecom company Reliance Jio jo Jio fiber ke naam se fiber broadband internet connection provide karta hai, Jio apne users ko internet use karne me koi takleef na ho isliye naye naye wifi booster device pesh karte he.
Agar aap ke ghar me wifi bahut slow chalta he, ya fir aapka ghar bada he or zada floors he to sayad sabhi floors me wifi connection thik se pahuch nehi pata hoga or iske karan aapka internet bahut hi slow chalta hoga, to aise me aap le sakte he Jiofiber ka ye behtareen device, jise lagake aap apna internet speed ko badha sakte he bahut zada.
To ab baat karte he is khas device ki sabhi jaruri details ke ware me:
Reliance jio apne customer ko de rehe WiFi Mesh Extender, or is extender ko kaha jata he JCM0112.
Ye device ko apne jio router ke sath connect karna hota he jo ki kuch mintoon ka kaam he, isse connect karne ke baad aapke ghar ke dark zone yani internet na pahuchne wali jagah tak asani se internet pahuch jayenge.
Device ko install karne ke liye aapko koi technitian ki bhi zarurat nehi padegi ye aap khud hi install kar sakte he, isme sadharan sa ek Plug-And-Play instalation model he. Agar aap dekhna chahte he ki ye kaise kiya jata he to aap Jio ki official website par product page me jake dekh sakte he. Ye Amazon me available he.
To ab baat karte he iss device ki price ke ware me:
Iss Classic Wi-Fi Mesh Extender ki kimat he sirf ₹2499. Aap ise EMI par bhi kharid sakte he jo ki suru hota he sirf ₹86 se. Agar aap is device ko kharidna chahte he to Jio ki official website par jake order de sakte he, ya fir Amazon se ya Flipkart se bhi kharid sakte he. or agar iske ware or puchtach karna chahte he Jio ki retail store pe jake kar sakte he.
0 टिप्पणियाँ
aniruddhah58@gmail.com