windows phone 8.1 se 10 me kaise update kare hindi me / how to update windows phone from 8.1 to 10 in hindi

Windows phone ko 8.1 se windows 10 me update kaise kare



Maximum WP 8.1 user ki ye problem hai. Agar aapko bhi yhi problem hai to ye post pura zarur padhe...


Hello friends, agar aap ek windows user hai or aapka windows 8 ya 8.1 hai to sayad hi aap update to zarur karna chahoge...😉 Warna yha kya karne aye he?😜😜😜

To chaliye suru karte hai...

Or haa...pehle aap jan to le ki aap ke phone me update available hai ki nehi. Sabhi windows phone me update available nehi hotaaaa☝☝
 Tension na le... Mai niche list de rha hu wha dekh le aapka phone hai ki nhi. I mean.. aapke device list me hai ki nhi.😁

And sorry for that... Mere pas sirf lumia model ki hi list hai. Agar aapka kisi or company ka hai to company ki official website me jake check kar sakte he.

Lumia 1520
Lumia 930
Lumia 640
Lumia 640XL
Lumia 730
Lumia 735
Lumia 830
Lumia 532
Lumia 535
Lumia 540
Lumia 635 1GB
Lumia 636 1GB
Lumia 638 1GB
Lumia 430
Lumia 435



To dosto upar diye geye list me agar aapka model hai to aage badhe... Warna kripa karke chupchap kalti marlijiye yahase😑😑

Ok... To suru karte he..

Note: update karne se pehle apne mobile ko kam se kam 50% charge zarur hone chahiye, or minimum 1Gb phone memory khali rehna zaruri hai. Or update karne ke liye wifi connection chahiye. Wifi ke alawa aap update bilkul nhi kar sakte

Update wp from 8/8.1 to 10
Sabse pehle to apna phone ko unlock kare😜
Fir store me jaye or windows insider nam ki ek app download kare.

 Download karne ke bad app ko open kare and follow kare steps ko,
Step1. sabse get preview builds pe tap kare.

Step2. yha aapko 2 option dikhenge...
1) Microsoft account  2) Domain account
Aapko Microsoft account pe tap karna he.

Step3. yha aapko enroll ka page dikhenge yha bhi aapko 2 option dikhneko milega 1) insider  slow  2) insider fast to insider fast pe tap kare. Fir next pe tap kare..fir next pe tap kare.. karte rahe karte rahe.. jab tak agli page open na ho.


Step4. fir yha ek confirmation messege ayega aapko waha ok karna hai. Ok karne ke bad mobile 3 sec me restart ho jayega.

Step5. ab aap jaiye phone ki settings me > update > tap on check for update.

Bas ho gya aapka kam.. ab update hona start ho jayega.

Ab aap better graphics and better facilities pa sakte he aapne phone me.

Enjoy your windows 10 👍😉



General
ly sabhi phone me aise ho jate hai, par fir bhi agar aapke mobile me update show nhi ho rhe he to aap niche 👇diye gye steps ko follow kare... 👇👇👇


Mobile ki settings me jaye > fir language settings me jaye 

Ab add language button pe tap karke English (united state) select kare. 

Fir aapko reboot krne ke liye bola jayega to kar dijiye reboot..kya jata hai😁ok that's set. Fir mobile on hone ke baad aiye firse settings me 
or ab region pe tap kare or yha pe bhi English (united state) select kare

fir se reboot karne ke liye kahega to kar dijiye. Now all set.
Ab aap update me jake check kar sakte he.!!!

 Ab bhi agar kuch problem he to... Comment karo yar.. mai hoon naa😎

    Thanks... And visit again🙏

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ

  1. Mera phone model hai Lumia 435 dul sim Mai jab update Karta Hu to download ho Ra hai par installer ke taime ye error 801882d2 code bta ha Ra hai bhai Mai Keya karu reply jarrur Dena bhai

    जवाब देंहटाएं
  2. mera lumia 535 hai but isme mai window insider nhi download kr skti kyuki store work nhi kr rha

    जवाब देंहटाएं

aniruddhah58@gmail.com