Windows 11 me Automatic Brightness enable kaise kare | How to use Auto Brightness feature in Windows 11 PC | How to enable automatic brightness in windows 11

Windows 11 me automatic brightness enable kaise kare | How to use Auto Brightness feature in Windows 11 | how to enable automatic brightness in windows 11 PC





Microsoft ne windows 11 operating system me apne users ko zarurat ke hisab se customise karne ke liye tarha tarha ke features or functionality provide kiye he, iske alawa, ye OS (Operating System) device me settings ko automatically adjust karne jaisa option bhi uplabdh hai.


Inme se ek option hai screen brightness ke liye, jise users ke dwara manually On / Off kiya ja sakta hai ya fir setting kiya ja sakta hai, taki system light ke hisab se or battery ko optimise karne ke liye automatically brightness ko adjust kar sake.


Agar device me Ambient light sensor majud hai, to windows 11 lighting ke hisab se or screen par konsa content show ho raha hai uske hisab se automatically brightness adjust kar sakta hai.


To aj ham aapko step by step batayenge ki windows 11 computer me Auto Brightness feature ko kaise On kare taki aapki system room ki light ke hisab se automatically brightness ko adjust kar paye. To chaliye jante he ki Apne Pc me Auto Brightness On kaise kare. How to turn On/Off Auto Brightness in Pc.


Windows 11 me Auto Brightness settings kaise enable kare:

Step 1:

Apne PC Ki keyboard se "windows + I" daba kar setting ko khole ya fir search bar me "Settings" type karke searche kare or settings pe click karke settings application ko open kare.


Step 2:

Jab settings open ho jaye to left sidebar me se "system" ko select kare.


Step 3:

Ab right sidebar me se "Display" option ko select kare.


Step 4:

Display settings ke page me "Settings & color" section ke thik niche "Brightness" option par click kare.


Step 5:

 Ab "Change brightness automatically when lighting changes" option ko tick kare or  "Help improve battery by optimizing the content shown and brightness" option ko tick kare.


Ab aapke Windows 11 laptop ya PC me Auto brightness ki feature on ho gya hai. Ab aapka PC aapki room ki light ke hisab se automatically brightness ko adjust karenge.


Agar aapko automatically brightness change karne ka option nehi dikh raha aapke computer me, to iska matlab aapke PC me Ambient light sensor nehi hai, or ye feature aapke computer ke liye nehi hai. Lekin upar jaise ki bataya gya hai ki apki computer screen par konsa content show ho raha hai uske hisab se bhi automatic brightness adjustment ho jayega.


Agar aapko Auto Brightness adjust feature off karna hai ya Auto Brightness disable karna hai to "Change brightness automatically when lighting changes" issko untick or "Help improve battery by optimizing the content shown and brightness" Issko Untick kar dijiye aapka Pc Auto Brightness disable ho jayega or apka Pc Automatically Brightness adjust karna band kar denge.


*** Friends yaha ek baat ka dhyan zarur rakhe ki agar aapke paas laptop hai Auto Brightness enable karne se laptop ki battery consuming zyada ho sakta hai, yani battery jaldi khatam ho sakta hai. Or agar aapke paas Desktop hai to Auto Brightness turn on karne se zyada power consuming ho sakta hai.***

Windows 11 Auto Brightness not working:

(((Agar Windows 11 laptop ya PC me Auto Brightness issue ho raha hai ya fir auto brightness not working dikha raha hai yani work nehi kar raha hai, to comment karke hame bataiye ki aapke Windows 11 pc me Auto Brightness issue related konsa problem ho raha hai.)))



To friends iss article me aaj hamne sikha ki apne laptop ya computer me windows 11 me Auto Brightness feature ko turn On ya turn off kaise karte he. Ummeed hai aapko pasand aya hoga, agar samajh nehi aya ya fir Auto Brightness kam nehi kar raha hai ya fir kuch puch na ho ya kuch bolna ho to aap comment karke jarur bataye, hame aapki comments se bahut khusi hogi.


To guys kya aapke PC ya laptop me windows 11 ka ye new feature Auto Brightness kaam kar raha hai ya kaam nehi kar raha hai hame jarur bataye.

Thanks and visti again 🙂🙏

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ