android phone root kaise kare without pc


Root Android Phone Without PC: 



Android Mobile kharidne ke baad Apne android phone ke Maximum sabhi extra features use karne ke liye kya kare?  Agar Aap apne android phone ke maximum features use karna chahte ho to iske liye apko apne Android mobile ko Root karna hoga. Android phone root karne ke baad aap apne phone me wo sab kuch kar sakte ho jo aap bina root kiye huye phone me nahi kar sakte ho. Android phone ko root karne ke main apko easy tarike bataunga. Android phone ko root karna ab bahut easy ho gaya hai. Infact ab aap apne android ko without computer ke 2 minutes me root kar sakte ho. 😀

Bina Computer ke Android Phone Kaise Root Kare 

Ab aap android device ko bina kisi risk ke niche bataye gaye android apps se easily phone ko root kar sakte ho. Ye sabhi app easy to use aur best android root apps hai. Ye android apps lagbhag sabhi android phone ko support karti hai aur in apps se aap android phone ko instantly root kar sakte. Most of time hum android phone ko root karne se darte hai ki kahin hamare phone ki warranty na chali jaye. But using these methods or app apko darne ki jarurat nahi hai kyuki ye sabhi rooting app tested hai. In app se apka mobile damage bhi nahi hoga aur na hi koi problem ayegi. To ye Applications kon se hain? Main apko bataunga android phone ko root karne ke asan tarike or how to root android phone without computer PC in 2 minutes.

Android Phone ko Root karne ke Best Applications without PC

Ye hain phone ko root karne ke 6 best android app for rooting android phone-
Framaroot
Vroot
Z4root
CF auto root
Kingroot
Towelroot


Tutorial

1. Framaroot
Framaroot android ko root karne ki sabse best Application hai. Is app se aap apne phone ko kuch hi seconds me root kar sakte ho. Agar apko darr hai ki apka phone kharab ho jayega to main apko bata du ki framaRoot sabse best aur safes app hai phone ko root karne ke liye without Pc. Agar kisi wajah se apka phone root nahi hota hai tab ye app message se bata deta hai ki phone rooted nhi hua hai. Agar aap is method se phone ko root karna chahte ho to aap is app ki supported device ki list check karne ke baad hi mobile ko root kare.

FramaRoot se phone ko root kaise kare

Sabse pehle framaroot app ko install kare aur open kare.
Ab aapko list me se koi bhi Exploit choose karna hai. (Aap koi bhi exploit choose kar sakte hain
one by one)
Ab bas aapko root button par click karna hai aur aapka mobile root ho jayega.

2. Vroot
Is app se bhi aap apne phone ko ek click me root kar sakte ho. Bina computer ke android phone ko root karne ke liye ye application best hai. Agar apka phone vroot ki supported device ki list me hai tab hi aap is app se apna phone kare. Agar apka phone is list me nahi hai tab aap apna phone rooot na kare.

3. Z4root
Ye app bhi mobile ko root karne ke liye one click rooting application hai. Is aap me sabse khas baat ye hain ki ye lagbhag sabhi android device ko support karti hai and sath hi sath aap ka user interface bhi badhiya aur easy hai. Is app me mobile ko root karne ke 2 option ate hai.
1). Temporary Root,
2). Permanently Root.
Matlab agar aap phone temporary root karte ho to phone restart karne ke baad sabhi rooting option gayab ho jayenge aur phone unroot ho jayega. Aur agar aap phone ko permanently root karte ho to phone hamesha rooted rahega.

Z4Root App se Root kare without PC

Sabse pehle app ko install kare aur open kare.
Ab aapko Temporary root aur permanent root me choose karna hai aur click karna hai.
Uske bad aapka mobile root ho jayega.

4. Cf auto root
Different phone ke liye different app hote hain. Ye app specially samsung mobile ke liye hai. Agar apke paas sumsung ka android phone hai to CF Auto Root app se aap apne android phone ko easily root kar sakte hai. Is app se aap android phone ko bina kisi risk ke easily root kar sakte ho.

5. Kingroot
Ye app same vroot ki tarah hai. Is app se bhi aap android phone ko without any risk root kar sakte ho. Is app se bahut se android mobile root huye hai jo ki Mediatek(MTK) par run karte hain. So, ye bhi ek bahut hi safe aur easy app hai MTK chipset mobiles ko root karne ke liye.

KingRoot se kaise Root karte hai

App ko open kare.
Ab aapko ek option dikhayi dega mobile Root karne ke liye. Just click on that.
Bas aapko kuchh seconds wait karna hai aur aapka mobile root ho jayega.

6. Towelroot
Ye app bhi bahut hi badhiya hai jo ki Kitkat version ke liye banaya gaya hai. Ye app Samsung ke smartphones par bhi work karta hai. Aur ye app ekdum FREE hai. To chaliye is app ko ek bar try zarur kare. 👍

Towel Root App se Android ko Root karne ka tarika

App ko open kare.
Ab aapko ek option dikhayi dega Make It Ra1n , uspar click kare
Kuchh seconds wait kare aur uske bad aapka mobile root ho jayega.

Advantages Of Rooting Your Android Phone –

 Rooting karne ke fayde Main Advanatage – 

Aap apne android mobile me koi bhi change kar sakte hain.
Apne mobile ki internal memory increase kar sakte hain, Ram ko increase kar sakte hain.
Rooting ke bad aap apne apps ko sd/Memory me move kar sakte hain.
Apne mobile ke performance ko achha kar sakte hain aur battery life ko increase kar sakte hain.
Aap apne android par custom ROM install kar sakte hain jiski madad se apne purane phone par
new android version install kar sakte hain.
Kuch Pre-install app mibile ki speed ko slow karti hai. To phone root karne ke baad aap in apps ko uninstall kar sakte ho.

Disadvantages – Mobile Rooting karne ke Nuksan

Main disadvantage – Aapke mobile ki Warranty samapt ho jayegi.

Aapka mobile rooting ke wakt brick ho sakta hai aur ho sakta hai uske baad apka phone kabhi khule hi nahi. Isliye phone ko root karne se soch lijiye.
Rooting ek illegal process hai aur jisko company allow nahi karti.
Aap apne phone ke latest sowftware ko update nahi kar sakte kyuki company rooted phone ko ye service allow nahi karti hai.
Phone Ko Root Karne Se Pahle ye Baate Yaad Rakhe
Agar aap apne phone ko root karne ja rahe ho to root karne se pahle apne phone ko acchi tarah se prepare kar le. Main apko yahan kuch tips bata raha hu jo apke liye useful ho sakte hain-
Device ko root karne se pahle phone ko full charge kar le. Yaad rahe apke phone ki battery minimum 60% honi chahiye. Kyuki kabhi kabhi android phone root hone thoda jyada time lag jata hai.
Phone me “Unknown Source” enable hona chahiye. Unknown source enable krne liye phone “Settings” me jaye aur uske baad “Security” aur uske baad unknown source ko tick kar de.

Note: Phone ko root karne se pehle phone ki important data jaise sms, contact, files etc sab ki backup le le, otherwise apki sabhi important data lost ho sakti hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ